सरकारी Stocks के पापाजी ! ??

0 Comments



#statebankofindia #statebankofindiasharedetailedanalysis #sbi #banknifty #bankniftyprediction #bankniftytomorrow #bankingsector #shorts #finance #nse #bse #london #adigitalblogger

State Bank of India

Aaj log chaahe sarkar ke khilaf ho lekin agar apne paise jama karne ki baat aati hai toh aaj bhi log sarkaari bank ki taraf hi jaate hai, aur india me sarkaari banks ka badshah ek hi hai State bank of india yani SBI,

1955 me Govt of india ne imperial bank of india ko acquire kar state bank of india bna diya jo ki 1921 me 3 banks, bank of calcutta, madras aur bombay ko milaakar bana tha, aur 1958 ke baad 7 se jyada banks ko SBI ke saath merge kar diya gaya jisse iske customer ki sankhya ek dum badh gayi,

Shuru se hi SBI ne apne customers ko acche interest ke saath saath acchi services bhi di hai isliye aaj bhi SBI bharat me ek trusted bank mana jata hai, jiski wajah se india ke saath saath SBI duniya ke 35 se jyada deshon me kaam karta hai aur iski 24000 se jyada branches hai,

1995 me SBI stock market me 18 rupay ke saath list huya tha jo aaj 2700% ki growth ke saath 522 rupay par chal raha hai, aur ye SBI indian stock market ke dono top indexes nifty50 aur Sensex ka hissa bhi hai, aur saath hi ye london stock exchange par bhi listed hai

Aaj SBI 4 lakh 64 hazaar cr ki market cap ke saath indian banking system me contribute kar economic system ko aage badha raha hai, lekin kya govt ki privatization policy se SBI ke most trusted bank hone par kuch fark padega, aapko kya lagta hai,

Share casino bonus:
See also  NINE LOCH GUESTHOUSE | REJOICE CHINESE | SAFAIR | wing TO GEORGE | STICKYMESS17